Dukh nashak sanjeevani, Nav durga ka paath Jisase banta bhikshuk bhi, Duniya ka samrat Amba divya swarupani, Kaye so prakash Prithvi jisase jyotirmay, Ujawal hai aakash Durga param sanatani, Jag ke sirjan haar Aadi bhawaani maha devi, Shristi ka aadhaar Jai jai durge maa. Sadd marg pradarshini, Nyan ka ye updesh Man se karta jo manan, Usake kate kalesh Jo bhi vipatti kaal mein, Kare ri durga jaap Puran ho man kamna, Bhage dukh santap Utpan karta vishv ki, Shakti aprampar Iska archan jo kare, Bhav se utre paar Durga sok vinashini, Mamta ka hai roop Sati satvi satvanti, Sukh ke kala anup Jai jai durge maa. Vishnu brahma rudra bhi, Durga ke hai adheen Buddhi vidya vardhani, Sarva siddhi praveen Lakh chaurasi yoniyan, Se ye mukti de Maha maya jagdambike, Jab bhi dayaa kare Durga durgati nashini, Shiv vahini shukhkar Ved mata ye gayatri, Sabke palanhar Sada surakshit wo jan hai, Jis par maa ka haath Vikat dagariya pe usaki, Kabhi na bigde baat Jai jai durge maa.